Phir Bhi Yeh Zindagi |
Music: Shankar Ehsaan Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Star Cast: Farhan Akhtar, Ranveer Singh, Priyanka Chopra, Anushka Sharma, Anil Kapoor, Shifaali Shah.
The video of this song is available on youtube at the official channel T-Series This video is of 1 minutes 01 seconds duration.
The audio of this song is available on youtube at the official channel T-Series This audio is of 4 minutes 28 seconds duration.
Lyrics of "Phir Bhi Yeh Zindagi"
uljhi hui ye doriyaan
uljhi hui ye doriyaan suljhaa le
dil ki tu suney agar dil saccha hai dilwale
raahein nahin aisi toh kahin
jahaan kahin koi mod nahin
kehta hai ye dil ab jaane bhi de
toote sheeshon ko tu jod nahin
raahon mein do raahein aate hain sau baar
kadam kadam iqraar hai, kadam kadam inkaar
phir bhi ye zindagi
pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
lehrein ye waqt ki
pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo kya karein
maana kahin koi bhi nahin
jisey mila kabhi gham na ho
par humko toh wo gham hai jo
ik pal ko bhi kam naa ho
humne jo baazi kheli, jeet nahi paaye
ab wo tanhaai hai jo beet nahi paaye
phir bhi ye zindagi
pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
lehrein ye waqt ki
pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo kya karein
angdaai leti hain phir se umeedein
palkon pe chhaaye jo sapne
jaag uthte hain phir jaise dil mein
armaan jo soye thhe apne
jaana hai kis raste ye bhi na tu jaane
kyun hai dil deewaane
phir bhi ye zindagi
pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
lehrein ye waqt ki
pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
tanhaaiyan hai ghul si gayi saanson mein
ooo kya karein
uljhi hui ye doriyaan
uljhi hui ye doriyaan suljhaa le
dil ki tu suney agar dil saccha hai dilwale
Lyrics in Hindi (Unicode) of "फिर भी ये ज़िन्दगी"
उलझी हुई ये डोरियाँ
उलझी हुई ये डोरियाँ सुलझा ले
दिल की तू सुने अगर दिल सच्चा हैं दिलवाले
राहें नहीं ऐसी तो कहीं
जहाँ कहीं कोई मोड़ नहीं
कहता हैं ये दिल अब जाने भी दे
टूटे शीशों को तू जोड़ नहीं
राहों मे दो राहें आते हैं सौ बार
कदम कदम इकरार हैं, कदम कदम इंकार
फिर भी ये ज़िन्दगी
पल भर को भी कभी रूकती ही नहीं
लहरें ये वक़्त की
पल भर को भी कभी रूकती ही नहीं
तन्हाईयाँ हैं घुल सी गयी साँसों में
ओऊ क्या करें
माना कहीं कोई भी नहीं
जिसे मिला कभी ग़म ना हो
पर हमको तो वो ग़म हैं जो
इक पल को भी कम ना हो
हमने जो बाज़ी खेली, जीत नहीं पाए
अब वो तन्हाई हैं जो बीत नहीं पाए
फिर भी ये ज़िन्दगी
पल भर को भी कभी रूकती ही नहीं
लहरें ये वक़्त की
पल भर को भी कभी रूकती ही नहीं
तन्हाईयाँ हैं घुल सी गयी साँसों में
ओऊ क्या करें
अंगडाई लेती हैं फिर से उमीदें
पलको पे छाए जो सपने
जाग उठे हैं फिर जैसे दिल में
अरमान जो सोए थे अपने
जाना हैं किस रस्ते ये भी ना तू जाने
क्यों हैं दिल दीवाने
फिर भी ये ज़िन्दगी
पल भर को भी कभी रूकती ही नहीं
लहरें ये वक़्त की
पल भर को भी कभी रूकती ही नहीं
तन्हाईयाँ हैं घुल सी गयी साँसों में
ओऊ क्या करें
उलझी हुई ये डोरियाँ
उलझी हुई ये डोरियाँ सुलझा ले
दिल की तू सुने अगर दिल सच्चा हैं दिलवाले
No comments:
Post a Comment