8 December 2015

Lyrics Of "Charlie Kay Chakkar Mein (Duet)" From Latest Movie - Charlie Kay Chakkar Mein (2015).

Charlie Kay Chakkar Mein (Duet)
Charlie Kay Chakkar Mein (Duet)
A title track sung by Abhijeet Sawant & Neha Kakkar and music composed by Vishal - Seagal.

Singer: Abhijeet Sawant, Neha Kakkar
Music: Vishal - Seagal
Lyrics: Sandeep Nath
Star Cast: Naseeruddin Shah, Amit Sial, Anand Tiwari, Subrat Dutta, Manasi Rachh, Disha Arora,
Shweta Sharma.



The video of this song is available on YouTube at the official channel Zee Music Company. This video is of 3 minutes 17 seconds duration.

Lyrics of "Charlie Kay Chakkar Mein (Duet)"


har pal hone lage karishme dekhun apne aap
hitler banke thage yahan pe sabhi chavani chhap
har pal hone lage karishme dekhun apne aap
hitler banke thage yahan pe sabhi chavani chhap

shehar badnaam ho raha hai
magar har kaam ho raha hai
emotion ka business bhi dekho
khule aam ho raha hai

ek ajab si halchal hai, building se lekar chhapar mein
charlie kay chakkar mein, ho charlie kay chakkar mein

harpal nigaahon mein hai
wo kiski baahon mein hai
jiski adaayein chalti hai yahan pe
saansein hain upar niche, phir bhi sab uske pichhe
koi na jaane kya uska pata re
kyu kuch haal bhi ro raha hai
dhule kapde phir dho raha hai
iraadon ka full operation subah sham ho raha hai

ek ajab si halchal hai, building se lekar chhapar mein
charlie kay chakkar mein, ho charlie kay chakkar mein

nazrein sitaron pe hai, chalna angaaron pe hai
calculation sabka ulta pulta hai
itra ke rona bhi hai, ghabra ke hasna bhi hai
sabko yahan drama karna padta hai
sach kirdaar kho raha hai
jhooth rishtedaar ho raha hai
relation ka har application, bebas bekar ho raha hai

ek ajab si halchal hai, building se lekar chhapar mein
charlie kay chakkar mein, ho charlie kay chakkar mein


Lyrics in Hindi (Unicode) of "चार्ली के चक्कर में (डुएट)"


हर पल होने लगे करिश्मे देखूं अपने आप
हिटलर बनके ठगे यहाँ पे सभी चवन्नी छाप
हर पल होने लगे करिश्मे देखूं अपने आप
हिटलर बनके ठगे यहाँ पे सभी चवन्नी छाप

शहर बदनाम हो रहा है
मगर हर काम हो रहा है
इमोशन का बिज़नस भी देखो
खुले आम हो रहा है

एक अजब सी हलचल है, बिल्डिंग से लेकर छप्पर में
चार्ली के चक्कर में, हो चार्ली के चक्कर में

हरपल निगाहों में है
वो किसकी बाहों में है
जिसकी अदाएं चलती है यहाँ पे
साँसे हैं ऊपर निचे, फिर भी सब उसके पीछे
कोई ना जाने क्या उसका पता रे
क्यों कुछ हाल भी रो रहा है
धुले कपडे फिर धो रहा है
इरादों का फुल ऑपरेशन सुबह शाम हो रहा है

एक अजब सी हलचल है, बिल्डिंग से लेकर छप्पर में
चार्ली के चक्कर में, हो चार्ली के चक्कर में

नज़रें सितारों पे है, चलना अंगारों पे है
कैलकुलेशन सबका उल्टा पुल्टा है
इतरा के रोना भी है, घबरा के हँसना भी है
सबको यहाँ ड्रामा करना पड़ता है
सच किरदार खो रहा है
झूठ रिश्तेदार हो रहा है
रिलेशन का हर एप्लीकेशन, बेबस बेकार हो रहा है

एक अजब सी हलचल है, बिल्डिंग से लेकर छप्पर में
चार्ली के चक्कर में, हो चार्ली के चक्कर में

No comments:

Post a Comment